Thursday, January 29, 2009

Ghazal,

Vafoor-e-aab kay hamraah kiun bahay thay ham...
Ab aisay bhee gaey guzray, rahay sahay thay ham?

Tumharay aaina-e-khaab main jo dekha kiyay.......
Gahay wo aks hamara tha aur gahay thay ham.....

Koi bhi ranj sar-e-sath-e-lab naheen la'ay......
B'shakl-e-joo-e rawaan bhi wo be' tahay thay ham

Usay talaash thi saaey ki, ban gaey divaar......
Phir aisa raasta darkar tha .. dh'hay thay ham

Hamari zaat kay gunbad main dukh thay mehv-e-azaan
Hansi hansi main jo dekho to qahqahay thay ham...........

Gumaan kia k Yaqeen hai azal kay honton say ...
Kaha huwa kalima tum thay, un' kahay thay ham...

Tumhi.. jo zaat ho, un'zaat ho, tumhaari talaash.....
Hamain talaash kay lay aa'ei, kho rahay thay ham.
Jis sitaray pe ho taqdeer-e-safar ka tak'ya
Aankh lagtay he agar aankh se ho lay ma'doom;
Kis tarah raah bhatak jaatay hain chaltay rahro...
Tum bohut door say bichray ho tumhain kia ma'loom?

Friday, January 23, 2009

...






Houn kisi sauch, kisi khauj main gum,
Jaisay darya ho koi mauj maim gum...